Na Mera Makan Hi Badal Gaya Na Tera Pata Koi Aur Hai
na mera makan hi badal gaya na tera pata koi aur hai
meri rah phir bhi hai muKHtalif tera rasta koi aur hai
wo jo mahr bahr-e-nikah tha wo dulhan ka mujh se mizah tha
ye to ghar pahunch ke pata chala meri ahliya koi aur hai
jo sajai jati hai raat ko wo hamari bazm-e-KHayal hai
jo saDak pe hota hai raat din wo mushaera koi aur hai
kabhi 'mir' o 'dagh' ki shairi bhi moamla se hasin thi
magar ab jo sher mein hota hai wo moamla koi aur hai
ye jo titar aur chakor hain wahi pakDen un ko jo chor hain
main chakor-akor ka kya karun meri faKHta koi aur hai
mujhe man ka pyar nahin mila magar is ka bap se kya gila
meri walida to ye kahti hai teri walida koi aur hai
(1384) Peoples Rate This