Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai

na puchh hijr mein jo haal ab hamara hai

umid-e-wasl hi par in dinon guzara hai

na dekhun tujh ko to aata nahin kuchh aah nazar

tu meri putli ka aankhon ki yar tara hai

mujhe jo baam pe shab ko bulae hai wo mah

magar uruj pe kya in dinon sitara hai

yaqin jaan tu waiz ki din o duniya mein

bas us ki sirf mujhe zat ka sahaara hai

ajab tarah se nazar paD gaya mere hamdam

qayamat aah wo mukhDa bhi pyara pyara hai

mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se

na iKHtiyar hai us ka na mera chaara hai

kaha jo main ne pilate ho bazm mein sab ko

magar hamein hi nahin kya gunah hamara hai

to bole wo ki jise chahen hum pilaen sharab

KHushi hamari tera is mein kya ijara hai

gaya wo parda-nashin jab se apne ghar 'ghamgin'

tamam KHalq se dil ko mere kinara hai

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai In English By Famous Poet Ghamgeen Dehlvi. Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai is written by Ghamgeen Dehlvi. Read famous Poem Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai for youth and Student by Ghamgeen Dehlvi. Free Download Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai in PDF.