Kahte Hain Id Hai Aaj Apni Bhi Id Hoti

kahte hain id hai aaj apni bhi id hoti

hum ko agar mayassar jaanan ki did hoti

qimat mein did-e-ruKH ki hum naqd-e-jaan lagate

bazar-e-naz lagta dil ki KHarid hoti

kuchh apni baat kahte kuchh mera haal sunet

naz-o-niyaz ki yun guft-o-shunid hoti

jalwe dikhate jate wo tarz-e-dilbari ke

aur dil mein yan hawa-e-naz-e-mazid hoti

tegh-e-nazar se dil par wo war karte jate

aur lab pe yan sada-e-hal-mim-mazid hoti

abru se un ke ghamza tir-e-ada lagata

ye dil qatil hota ye jaan shahid hoti

kuchh hausla baDhata andaz-e-lutf-e-jaanan

kuchh daghdagha sa hota kuchh kuchh umid hoti

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahte Hain Id Hai Aaj Apni Bhi Id Hoti In English By Famous Poet Ghulam Bhik Nairang. Kahte Hain Id Hai Aaj Apni Bhi Id Hoti is written by Ghulam Bhik Nairang. Read famous Poem Kahte Hain Id Hai Aaj Apni Bhi Id Hoti for youth and Student by Ghulam Bhik Nairang. Free Download Kahte Hain Id Hai Aaj Apni Bhi Id Hoti in PDF.