Kis Tarah Waqif Hon Haal-e-ashiq-e-jaan-baz Se

kis tarah waqif hon haal-e-ashiq-e-jaan-baz se

un ko fursat hi nahin hai karobar-e-naz se

mere dard-e-dil se goya aashna hain chob-o-tar

apne nale sun raha hun parda-ha-e-saz se

zarra zarra hai yahan ek katba-e-sirr-alast

aap hi waqif nahin hain rasm-e-KHatt-e-raaz se

dil gae iman gae aqlen gain jaanen gain

tum ne kya kya kar dikhaya ek nigah-e-naz se

aah! kal tak wo nawazish! aaj itni be-ruKHi

kuchh to nisbat chahiye anjam ko aaghaz se

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Tarah Waqif Hon Haal-e-ashiq-e-jaan-baz Se In English By Famous Poet Ghulam Bhik Nairang. Kis Tarah Waqif Hon Haal-e-ashiq-e-jaan-baz Se is written by Ghulam Bhik Nairang. Read famous Poem Kis Tarah Waqif Hon Haal-e-ashiq-e-jaan-baz Se for youth and Student by Ghulam Bhik Nairang. Free Download Kis Tarah Waqif Hon Haal-e-ashiq-e-jaan-baz Se in PDF.