Phir Wahi Hum Hain KHayal-e-ruKH-e-zeba Hai Wahi

phir wahi hum hain KHayal-e-ruKH-e-zeba hai wahi

sar-e-shorida wahi ishq ka sauda hai wahi

dana-o-dam sambhaala mere sayyaad ne phir

apni gardan hai wahi ishq ka phanda hai wahi

phir lagi rahne tasawwur mein wo mizhgan-e-daraaz

rag-e-jaan mein KHalish-e-KHar-e-tamanna hai wahi

phir laga rahne wahi silsila-e-naz-o-niyaz

jalwa-e-husn wahi zauq-e-tamasha hai wahi

phir hua hum ko dil-o-din ka bachana mushkil

nigah-e-naz ka phir hum se taqaza hai wahi

naz ne phir kiya aaghaz wo andaz-e-niyaz

husn-e-jaan-soz ko phir soz ka dawa hai wahi

mahw-e-did-e-chaman-e-shauq hai phir dida-e-shauq

gul-e-shadab wahi bulbul-e-shaida hai wahi

phir chamak uTThi wo kajlai hui chingari

raKHt-e-hasti hai wahi ishq ka shoala hai wahi

aarzu ji uThi phir pyar jo us but ne kiya

phir lab-e-yar mein ejaz-e-masiha hai wahi

pas-e-namus ne phir ruKHsat-e-raftan chahi

shohrat-e-husn wahi ulfat-e-ruswa hai wahi

phir hui laila-o-majnun ki hikayat taza

un ka aalam wahi 'nairang' ka naqsha hai wahi

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Wahi Hum Hain KHayal-e-ruKH-e-zeba Hai Wahi In English By Famous Poet Ghulam Bhik Nairang. Phir Wahi Hum Hain KHayal-e-ruKH-e-zeba Hai Wahi is written by Ghulam Bhik Nairang. Read famous Poem Phir Wahi Hum Hain KHayal-e-ruKH-e-zeba Hai Wahi for youth and Student by Ghulam Bhik Nairang. Free Download Phir Wahi Hum Hain KHayal-e-ruKH-e-zeba Hai Wahi in PDF.