Kahin Kahin Se Pur-asrar Ho Liya Jae

kahin kahin se pur-asrar ho liya jae

ki apne haq mein bhi hamwar ho liya jae

wo jis ne zaKHm lagae rakhega marham bhi

usi ka dil se taraf-dar ho liya jae

yahi hai nind ka mansha ki KHwab-e-ghaflat se

sahih waqt pe bedar ho liya jae

girah-kushai-e-mauj-e-nafas bahana hai

ki is bahane se us par ho liya jae

kisi ki rah mein aane ki ye bhi surat hai

ki saya ke liye diwar ho liya jae

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Kahin Se Pur-asrar Ho Liya Jae In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Kahin Kahin Se Pur-asrar Ho Liya Jae is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Kahin Kahin Se Pur-asrar Ho Liya Jae for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Kahin Kahin Se Pur-asrar Ho Liya Jae in PDF.