Har Shajar Ke Tain Hota Hai Samar Se Paiwand

har shajar ke tain hota hai samar se paiwand

aah ko kyun nahin hota hai asar se paiwand

dekhna zor hi ganTha hai dil-e-yar se dil

sang-o-shishe ko kiya hai main hunar se paiwand

mizha-e-KHun-e-dil aaluda pa ye hai qatra-e-ashk

yun hai jyun shaKH ho marjaan ki guhar se paiwand

mil raha hai tere aariz se KHat-e-murcha ye

jaise aaine ke jauhar ho jigar se paiwand

sozish-e-ashk se malum ye hota hai mujhe

qatra-e-ab bhi hota hai sharar se paiwand

than zarbaft ke hote the jahan qata 'huzur'

jin ki poshak sada hoti thi zar se paiwand

ab phaTa jama gazi ka nahin gar hai bhi koi

tu nikale ko nikalta nahin ghar se paiwand

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Shajar Ke Tain Hota Hai Samar Se Paiwand In English By Famous Poet Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Har Shajar Ke Tain Hota Hai Samar Se Paiwand is written by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Read famous Poem Har Shajar Ke Tain Hota Hai Samar Se Paiwand for youth and Student by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Free Download Har Shajar Ke Tain Hota Hai Samar Se Paiwand in PDF.