Aaj Unhen Dekh Liya Bazm Mein Farzanon Ki

aaj unhen dekh liya bazm mein farzanon ki

hum ne tarif suni thi tere diwanon ki

dida-war silsial-e-ashk samajhte hain jise

kahkashan hai mere mahbub ke ehsanon ki

tum ko aana hai to aa jao ujala hai abhi

shamen raushan hain mere gham ke shabistanon ki

mo'tariz hain meri diwana-washi par wo log

jin ko daman ki KHabar hai na garebanon ki

hum hain mai-KHana-e-fitrat ke sharabi hum ko

na surahi ki zarurat hai na paimanon ki

hans rahe ho to hanso aur hanso KHub hanso

haalat-e-zar pe hum be-sar-o-samanon ki

ahd-e-hazir ke nae 'mir' wahan honge 'habab'

mujh ko mahfil mein na le jao suKHan-danon ki

(637) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Unhen Dekh Liya Bazm Mein Farzanon Ki In English By Famous Poet Habab Tirmizi. Aaj Unhen Dekh Liya Bazm Mein Farzanon Ki is written by Habab Tirmizi. Read famous Poem Aaj Unhen Dekh Liya Bazm Mein Farzanon Ki for youth and Student by Habab Tirmizi. Free Download Aaj Unhen Dekh Liya Bazm Mein Farzanon Ki in PDF.