Tamam Raat Bujhenge Na Mere Ghar Ke Charagh

tamam raat bujhenge na mere ghar ke charagh

ki ye charagh hain KHun-e-dil-o-jigar ke charagh

in aansuon ko sitare salam karte hain

bujha sako to bujha do ye chashm-e-tar ke charagh

hua na aisa charaghan kabhi sar-e-maqtal

hatheliyon pe hain raushan burida-sar ke charagh

unhin pe chalne se manzil milegi ham-safaro

ye naqsh-e-pa hain kisi ke ki rahguzar ke charagh

is anjuman mein ujala rahega sadiyon tak

jala raha hun musalsal dil-o-nazar ke charagh

ye lal-qila ye diwar-e-chin ye taj-mahal

ye sab ke sab hain jalae hue bashar ke charagh

'habab' shahr-e-saba mein wo qumqumon ki bahaar

gali gali mein farozan the sim-o-zar ke charagh

(712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Raat Bujhenge Na Mere Ghar Ke Charagh In English By Famous Poet Habab Tirmizi. Tamam Raat Bujhenge Na Mere Ghar Ke Charagh is written by Habab Tirmizi. Read famous Poem Tamam Raat Bujhenge Na Mere Ghar Ke Charagh for youth and Student by Habab Tirmizi. Free Download Tamam Raat Bujhenge Na Mere Ghar Ke Charagh in PDF.