Nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar Bhi To Nahin

nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar bhi to nahin

ye be-dili hai ki ab intizar bhi to nahin

jo bhul jae koi shaghl-e-jam-o-mina mein

gham-e-habib gham-e-rozgar bhi to nahin

mariz-e-baada-e-ishrat ye ek jahan kyun hai

surur-e-baada ba-qadr-e-KHumar bhi to nahin

mata-e-sabr-o-sukun jis ne dil se chhin liya

wo dil-nawaz ada-ashkar bhi to nahin

qafas mein ji mera lag to nahin gaya hamdam

ki ab wo nala-e-be-iKHtiyar bhi to nahin

hai ain wasl mein bhi pur-KHarosh-e-parawana

sukun-e-qalb ba-aghosh-e-yar bhi to nahin

nigah-e-naz ki be-gana-e-mohabbat hai

sitam to ye hai ki be-gana-war bhi to nahin

wo ek rahbar-e-nadan ki jis ko ishq kahen

Dubo ke kashti-e-dil sharmsar bhi to nahin

junun ko dars-e-amal de ke kya kare koi

ba-qadr-e-hausla-e-dil bahaar bhi to nahin

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar Bhi To Nahin In English By Famous Poet Habeeb Ahmad Siddiqui. Nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar Bhi To Nahin is written by Habeeb Ahmad Siddiqui. Read famous Poem Nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar Bhi To Nahin for youth and Student by Habeeb Ahmad Siddiqui. Free Download Nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar Bhi To Nahin in PDF.