Un Nigahon Ko Ajab Tarz-e-kalam Aata Hai

un nigahon ko ajab tarz-e-kalam aata hai

aisa lagta hai bahaaron ka payam aata hai

marhala hota hai jab dar-o-rasan ka darpesh

qura-e-fal hum aison hi ke nam aata hai

ai mere naseh-e-mushfiq kabhi ye bhi socha

kaun duniya mein KHushi se tah-e-dam aata hai

baada-noshi mein bhi hai kaif-e-sukun-baKHsh magar

hae wo kaif jo be-minnat-e-jam aata hai

apni hansti ka bhi ehsas jahan ho na sake

aalam-e-hosh mein ek wo bhi maqam aata hai

pesh-dasti hai KHarabaat-e-jahan ka dastur

takte rahne se kahin hath mein jam aata hai

ahl-e-himmat ke hasin KHwabon ki nikli tabir

ibn-e-adam ko sitaron ka salam aata hai

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Nigahon Ko Ajab Tarz-e-kalam Aata Hai In English By Famous Poet Habeeb Ahmad Siddiqui. Un Nigahon Ko Ajab Tarz-e-kalam Aata Hai is written by Habeeb Ahmad Siddiqui. Read famous Poem Un Nigahon Ko Ajab Tarz-e-kalam Aata Hai for youth and Student by Habeeb Ahmad Siddiqui. Free Download Un Nigahon Ko Ajab Tarz-e-kalam Aata Hai in PDF.