Husn Bhi Hai Panah Mein Ishq Bhi Hai Panah Mein

husn bhi hai panah mein ishq bhi hai panah mein

ek teri nigah mein ek meri nigah mein

khel nahin hansi nahin haal mera sun na sun

dard hai do jahan ka ishq ki ek aah mein

KHugar-e-zulm-o-jaur ko shikwa-e-iltifat hai

qalb se uTh ke chha gai gham ki ghaTa nigah mein

ta-ba-hadd-e-did hai ek siraat-e-mustaqim

hajat-e-rahbar nahin ishq ki shahrah mein

dast-e-karam baDha diya us ne bila lihaz-e-jurm

qabil-e-raham kuchh na tha warna mere gunah mein

kuchh meri be-qarariyan kuchh meri na-tawaniyan

kuchh teri rahmaton ka hai hath mere gunah mein

lala-o-gul ki mahfilen apni jagah pe kuchh na thi

jam-e-bahaar ban gae khinch ke meri nigah mein

(1953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Bhi Hai Panah Mein Ishq Bhi Hai Panah Mein In English By Famous Poet Hairat Gondvi. Husn Bhi Hai Panah Mein Ishq Bhi Hai Panah Mein is written by Hairat Gondvi. Read famous Poem Husn Bhi Hai Panah Mein Ishq Bhi Hai Panah Mein for youth and Student by Hairat Gondvi. Free Download Husn Bhi Hai Panah Mein Ishq Bhi Hai Panah Mein in PDF.