Tujhe Baaton Mein Lana Chahta Hun

tujhe baaton mein lana chahta hun

teri baaton mein aana chahta hun

kisi ka aastana chahta hun

kahin main sar jhukana chahta hun

kisi surat bula le pas mujh ko

main tere pas aana chahta hun

junun dekho ki un ki hi kahani

unhi ko main sunana chahta hun

mujhe ai rahnuma ab chhoD tanha

main KHud ko aazmana chahta hun

Thahar jae yunhi un ka tabassum

Thahar jae zamana chahta hun

wo paiham ruTh jaana chahte hain

main har surat manana chahta hun

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Baaton Mein Lana Chahta Hun In English By Famous Poet Hairat Gondvi. Tujhe Baaton Mein Lana Chahta Hun is written by Hairat Gondvi. Read famous Poem Tujhe Baaton Mein Lana Chahta Hun for youth and Student by Hairat Gondvi. Free Download Tujhe Baaton Mein Lana Chahta Hun in PDF.