Tere KHayal Ka Charcha Tere KHayal Ki Baat

tere KHayal ka charcha tere KHayal ki baat

shab-e-firaq mein paiham rahi visal ki baat

tum apni chaaragari ko na phir karo ruswa

hamare haal pe chhoDo hamare haal ki baat

kaman si abru ka aalam ajib hai dekho

falak ke chand se behtar hai us hilal ki baat

yahi fasana raha hai junun ke sahra mein

kabhi firaq ke qisse kabhi visal ki baat

bahaar aai to khul kar kaha hai phulon ne

ye kis ne chheD di gulshan mein phir jamal ki baat

tu apne aap mein tanha hai meri nazron mein

kahan se DhunD ke laun tere misal ki baat

bina talab ke ata kar raha hai wo mujh ko

labon pe mere na aae kabhi sawal ki baat

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere KHayal Ka Charcha Tere KHayal Ki Baat In English By Famous Poet Indira Varma. Tere KHayal Ka Charcha Tere KHayal Ki Baat is written by Indira Varma. Read famous Poem Tere KHayal Ka Charcha Tere KHayal Ki Baat for youth and Student by Indira Varma. Free Download Tere KHayal Ka Charcha Tere KHayal Ki Baat in PDF.