Sail Ke Labon Par Hai Dua Aur Tarah Ki

sail ke labon par hai dua aur tarah ki

aflak se aati hai sada aur tarah ki

hai zist agar jurm to ai munsif-e-alam

jurm aur tarah ka hai saza aur tarah ki

is dil mein hai mafhum-e-karam aur tarah ka

us dil mein hai tafhim-e-wafa aur tarah ki

phulon ka tabassum bhi wo pahla sa nahin hai

gulshan mein bhi chalti hai hawa aur tarah ki

dete hain faqiron ko saza aaj bhi 'kaifi'

log aur tarah se to KHuda aur tarah ki

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sail Ke Labon Par Hai Dua Aur Tarah Ki In English By Famous Poet Iqbal Kaifi. Sail Ke Labon Par Hai Dua Aur Tarah Ki is written by Iqbal Kaifi. Read famous Poem Sail Ke Labon Par Hai Dua Aur Tarah Ki for youth and Student by Iqbal Kaifi. Free Download Sail Ke Labon Par Hai Dua Aur Tarah Ki in PDF.