Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se

aane lagi hai zahr ki KHushbu shumal se

jhalkega rang KHun ka asr-e-zawal se

hain darj aane wali ruton ke hisab mein

patte jhaDe hue shajar-e-mah-o-mal se

KHwahish ke karobar ki rasmen badal gain

milte hain phul baDh ke KHud apne maal se

gul-dan mein saji hui kaliyon ko kya KHabar

kya puchhti hai baad-e-saba Dal Dal se

zahir hain pairahan ki sapedi se tin rang

KHushbu ki aabshaar-e-rawan sabz shaal se

pardon ki sarsarahaTen bundon ke ral-taral

khulta hai dar hawa-e-shab-e-barshgal se

tu hi hujum-e-shahr mein pahchan le mujhe

main aashna nahin hun tere KHadd-o-KHal se

ab tak harif-e-sang samajhta tha main use

ye aaina to TuT gaya dekh bhaal se

andhon ki anjuman mein jalate ho mishalen

irshad kuchh na paoge kasb-e-kamal se

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se In English By Famous Poet Irshad Husain Kazmi. Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se is written by Irshad Husain Kazmi. Read famous Poem Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se for youth and Student by Irshad Husain Kazmi. Free Download Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se in PDF.