Chalo Us Bewafa Ko Main Bhula Kar Dekh Leta Hun

chalo us bewafa ko main bhula kar dekh leta hun

ye shoale KHushk patton mein chhupa kar dekh leta hun

kisi surat guzishta saaton ke naqsh miT jaen

main diwaron se taswiren haTa kar dekh leta hun

jo itni pas hain wo suraten dhundlaegi kaise

KHud apni sans shishe par laga kar dekh leta hun

bahut dil ko satata hai agar be-KHanuman hona

to kuchh lamhe hawa mein ghar bana kar dekh leta hun

ye mumkin hai use bhi is se ho kuchh dur ki nisbat

main aane wala har patthar uTha kar dekh leta hun

tawaqqo hai ki shayad wo yunhi pahchan le mujh ko

use is ke purane KHat dikha kar dekh leta hun

mere gham ki KHabar 'irshad' duniya ko hui kaise

bhare talab mein kankar gira kar dekh leta hun

(651) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chalo Us Bewafa Ko Main Bhula Kar Dekh Leta Hun In English By Famous Poet Irshad Husain Kazmi. Chalo Us Bewafa Ko Main Bhula Kar Dekh Leta Hun is written by Irshad Husain Kazmi. Read famous Poem Chalo Us Bewafa Ko Main Bhula Kar Dekh Leta Hun for youth and Student by Irshad Husain Kazmi. Free Download Chalo Us Bewafa Ko Main Bhula Kar Dekh Leta Hun in PDF.