Aashna Na-ashna Yaron Ke Beach

aashna na-ashna yaron ke beach

munqasim hun kitni diwaron ke beach

sans bhi lete nahin kya raste

kya hawa bhi chup hai diwaron ke beach

ek bhi pahchan mein aati nahin

suraten kitni hain bazaron ke beach

dekhna hai kis ko hoti hai shikast

aaina hai ek talwaron ke beach

kaisi dharti hai ki phaTti bhi nahin

raqs majburi hai muKHtaron ke beach

apna apna kasa-e-gham lae hain

hai numaish si azadaron ke beach

hai unhi se raunaq-e-bazm-e-hayat

phul khilte hain jo angaron ke beach

kya shua-e-mehr aati hai kabhi

aasman bar-dosh diwaron ke beach

hum bhi 'athar' 'mir' sahab ke tufail

sher kahte hain tarah-daron ke beach

(640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashna Na-ashna Yaron Ke Beach In English By Famous Poet Ishaq Athar Siddiqui. Aashna Na-ashna Yaron Ke Beach is written by Ishaq Athar Siddiqui. Read famous Poem Aashna Na-ashna Yaron Ke Beach for youth and Student by Ishaq Athar Siddiqui. Free Download Aashna Na-ashna Yaron Ke Beach in PDF.