AaKHir-e-shab Bhi Kisi KHwab Ki Ummid Mein Hun

aaKHir-e-shab bhi kisi KHwab ki ummid mein hun

ek nai subh nae din nae KHurshid mein hun

mujh se wo kaise kare harf-o-hikayat aaghaz

main abhi silsila-e-harf ki tamhid mein hun

mujh mein bhi faqr ki halki si jhalak milti hai

hai mujhe faKHr ki ek surat-e-taqlid mein hun

main ne dekha hai use ya nahin dekha us ko

main abhi tak to usi kashmakash-e-did mein hun

meri har sans hai isbaat-o-nafi ki takrar

mujh ko kya ilm ki kab haalat-e-tardid mein hun

sar-kashida hun to kya madd-e-muqabil hun to kya

mere qatil main teri tegh ki taid mein hun

KHushk shaKHon mein abhi zauq-e-numu baqi hai

main nai rut se phir ek ahd ki tajdid mein hun

(563) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHir-e-shab Bhi Kisi KHwab Ki Ummid Mein Hun In English By Famous Poet Ishaq Athar Siddiqui. AaKHir-e-shab Bhi Kisi KHwab Ki Ummid Mein Hun is written by Ishaq Athar Siddiqui. Read famous Poem AaKHir-e-shab Bhi Kisi KHwab Ki Ummid Mein Hun for youth and Student by Ishaq Athar Siddiqui. Free Download AaKHir-e-shab Bhi Kisi KHwab Ki Ummid Mein Hun in PDF.