Jo Mujh Pe Qarz Hai Isko Utar Jaun Main

jo mujh pe qarz hai is ko utar jaun main

ye aur baat hai jito ki haar jaun main

kabhi main KHwab mein dekhun hari bhari faslen

kabhi KHayal ke dariya ke par jaun main

ek aur marka-e-jabr-o-iKHtiryar sahi

ek aur lamha-e-taza guzar jaun main

bikhar gae hain jo lamhe sameT lun un ko

bigaD gae hain jo naqshe sanwar jaun main

kabhi to apni talab mein bhi is tarah niklun

KHud apne-ap se begana-war jaun main

lahu ka rang ki aatish ka rang kuchh to ho

jo naqsh dab se gae hain ubhaar jaun main

mohabbaton ko na lag jae nafraton ki nazar

KHuda kare ki har ek dukh sahaar jaun main

phir apna aks main apni hi zat mein dekhun

jo ho sake to har ek dukh ke par jaun main

kisi ke rang mein KHud ko main rang lun 'athar'

jawab aae na aae pukar jaun main

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Mujh Pe Qarz Hai Isko Utar Jaun Main In English By Famous Poet Ishaq Athar Siddiqui. Jo Mujh Pe Qarz Hai Isko Utar Jaun Main is written by Ishaq Athar Siddiqui. Read famous Poem Jo Mujh Pe Qarz Hai Isko Utar Jaun Main for youth and Student by Ishaq Athar Siddiqui. Free Download Jo Mujh Pe Qarz Hai Isko Utar Jaun Main in PDF.