Is Hujum-e-be-aman Mein Koi Apna Bhi To Ho

is hujum-e-be-aman mein koi apna bhi to ho

main gale kis ko lagaun koi zinda bhi to ho

barg-e-awara hawa na-ashna be-mehr phul

aate jate mausamon mein koi Thahra bhi to ho

sab gharon mein lazzat-e-asudgi hai KHema-zan

main sada kya dun yahan par koi sunta bhi to ho

phir se shaKH-e-dar par khilne lagen lale ke phul

phir se duniya jag uTThe koi aisa bhi to ho

TuT jata aap hi be-dard sannaTe ka zor

KHauf se bahar nikal kar koi bola bhi to ho

main ne us ko dil-nawaz-o-KHush-ada kya kya kaha

meri is zinda-dili ko koi samjha bhi to ho

main bhi kah deta ye mere KHwab ki tabir hai

teri tabiron mein mera KHwab bola bhi to ho

(646) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Hujum-e-be-aman Mein Koi Apna Bhi To Ho In English By Famous Poet Ishaq Athar Siddiqui. Is Hujum-e-be-aman Mein Koi Apna Bhi To Ho is written by Ishaq Athar Siddiqui. Read famous Poem Is Hujum-e-be-aman Mein Koi Apna Bhi To Ho for youth and Student by Ishaq Athar Siddiqui. Free Download Is Hujum-e-be-aman Mein Koi Apna Bhi To Ho in PDF.