Sare Mausam Hain Mehrban Se Kuchh

sare mausam hain mehrban se kuchh

rose utarta hai aasman se kuchh

har ibarat sawal jaisi hai

lafz ghaeb hain darmiyan se kuchh

kis ki lau ne jala diya kis ko

rakh mein hain abhi nishan se kuchh

kis se tafsir-e-mah-o-sal karen

din guzarte hain be-aman se kuchh

kya KHabar ye kahan talak phaile

uTh raha hai dhuan guman se kuchh

karwan kis ka manzilen kis ki

kya jhalakta hai dastan se kuchh

ek taswir raushni le kar

sae nikle to hain makan se kuchh

is qadar e'tibar kar lije

rabt rakhta hun KHandan se kuchh

tum bhi us waqt se Daro logo

jab nikal jae is zaban se kuchh

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sare Mausam Hain Mehrban Se Kuchh In English By Famous Poet Ishaq Athar Siddiqui. Sare Mausam Hain Mehrban Se Kuchh is written by Ishaq Athar Siddiqui. Read famous Poem Sare Mausam Hain Mehrban Se Kuchh for youth and Student by Ishaq Athar Siddiqui. Free Download Sare Mausam Hain Mehrban Se Kuchh in PDF.