Aaghaz-e-ishq Umr Ka Anjam Ho Gaya

aaghaz-e-ishq umr ka anjam ho gaya

nakaamiyon ke gham mein mera kaam ho gaya

tum roz-o-shab jo dast-ba-dast-e-adu phire

main paemal-e-gardish-e-ayyam ho gaya

mera nishan miTa to miTa par ye rashk hai

wird-e-zaban-e-KHalq tera nam ho gaya

dil chaak chaak naghma-e-naqus ne kiya

sab para para jama-e-ehram ho gaya

ab aur DhunDiye koi jaulan-gah-e-junun

sahra ba-qadr-e-wusat-e-yak-gam ho gaya

dil pech se na turra-e-pur-KHam ke chhuT saka

baala-rawi se murgh tah-e-dam ho gaya

aur apne haq mein tan-e-taghaful ghazab hua

ghairon se multafit but-e-KHud-kaam ho gaya

tasir-e-jazba kya ho ki dil iztirab mein

taskin-pazir bosa-ba-paigham ho gaya

kya ab bhi mujh pe farz nahin dosti-e-kufr

wo zid se meri dushman-e-islam ho gaya

allah-re bosa-e-lab-e-mai-gun ki aarzu

main KHak ho ke durd-e-tah-e-jam ho gaya

ab tak bhi hai nazar taraf-e-baam-e-mah-wash

main garche aaftab-e-lab-e-baam ho gaya

ab harf-e-na-saza mein bhi un ko daregh hai

kyun mujh ko zauq-e-lazzat-e-dushnam ho gaya

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaghaz-e-ishq Umr Ka Anjam Ho Gaya In English By Famous Poet Ismail Merathi. Aaghaz-e-ishq Umr Ka Anjam Ho Gaya is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Aaghaz-e-ishq Umr Ka Anjam Ho Gaya for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Aaghaz-e-ishq Umr Ka Anjam Ho Gaya in PDF.