AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein

aaKHir ye husn chhup na sakega naqab mein

sharmaoge tumhin na karo zid hijab mein

pamal shoKHiyon mein karo tum zamin ko

Dalun falak pe zalzale mein iztirab mein

raushan hai aaftab ki nisbat charagh se

nisbat wahi hai aap mein aur aaftab mein

dil ki girah na wa hui dard-e-shab-e-visal

guzri tamam bast-o-kushad-e-naqab mein

jaan main ne nama-bar ke qadam par nisar ki

tha pesh-e-pa fatada ye mazmun jawab mein

hans hans ke barq ko to zara kije be-qarar

ro ro ke abr ko main Dubota hun aab mein

waiz se Dar gae ki na shamil hue hum aaj

tartib-e-mahfil-e-mai-o-chag-o-rabab mein

saqi idhar to dekh ki hum dair-e-mast hain

kuchh masti-e-nigah bhi mila de sharab mein

daKHil na dushmanon mein na ahbab mein shumar

madd-e-fuzul hun main tumhaare hisab mein

kis kis ke jaur uThaenge aage ko dekhiye

dushman hai charKH-e-pir zaman-e-shabab mein

paighambar ishaara-e-abru se mar gaya

phir ji uThega lab bhi hila do jawab mein

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein In English By Famous Poet Ismail Merathi. AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein is written by Ismail Merathi. Read famous Poem AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein in PDF.