Aariz-e-raushan Pe Jab Zulfen Pareshan Ho Gain

aariz-e-raushan pe jab zulfen pareshan ho gain

kufr ki gumrahiyan ham-rang-e-iman ho gain

zulf dekhi us ki jin qaumon ne wo kafir banin

ruKH nazar aaya jinhen wo sab musalman ho gain

KHud-faroshi husn ko jab se hui madd-e-nazar

nirKH-e-dil bhi ghaT gaya jaanen bhi arzan ho gain

jo banain thin kabhi aiwan-e-kisra ka jawab

gardish-e-aflak se gard-e-bayaban ho gain

KHauf-e-nakaami hai jab tak kaamyabi hai muhaal

mushkilen jab bandh gain himmat sab aasan ho gain

hae kis ko roiye aur kis ki KHatir piTiye

kaisi kaisi suraten nazron se pinhan ho gain

kya unhen andoh-e-hangam-e-sahar yaad aa gaya

sham hi se bazm mein shamen jo giryan ho gain

ek farishte bhi to hain jin ko na mehnat hai na ranj

KHwahishen dil ki bala-e-jaan-e-insan ho gain

kya hai wo jaan-e-mujassam jis ke shauq-e-did mein

jama-e-tan phenk kar ruhen bhi uryan ho gain

thi wo taufiq-e-ilahi main ne samjha apna feal

taaten bhi mere haq mein ain isyan ho gain

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aariz-e-raushan Pe Jab Zulfen Pareshan Ho Gain In English By Famous Poet Ismail Merathi. Aariz-e-raushan Pe Jab Zulfen Pareshan Ho Gain is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Aariz-e-raushan Pe Jab Zulfen Pareshan Ho Gain for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Aariz-e-raushan Pe Jab Zulfen Pareshan Ho Gain in PDF.