Bazm-e-ijad Mein Be-parda Koi Saz Nahin

bazm-e-ijad mein be-parda koi saz nahin

hai ye teri hi sada ghair ki aawaz nahin

kah sake kaun wo kya hai magar az-ru-e-yaqin

gul nahin shama nahin sarw-e-sar-afraaz nahin

dil ho be-laus to kya wajh-e-tasalli ho darogh

tair-e-murda magar toama-e-shahbaz nahin

bulbulon ka tha jahan sehn-e-chaman mein amboh

aaj chiDiya bhi wahan zamzama-pardaz nahin

bhag virana-e-duniya se ki is manzil mein

nuzl-e-mehman ba-juz maida-e-az nahin

dilbari jazb-e-mohabbat ka karishma hai faqat

kuchh karamat nahin jadu nahin eajaz nahin

dil ki tasKHir hai shirin-suKHani par mauquf

kuchh karamat nahin jadu nahin eajaz nahin

dast-e-qudrat ne mujhe aap banaya hai to phir

kaun sa kaam hai mera ki KHuda-saz nahin

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazm-e-ijad Mein Be-parda Koi Saz Nahin In English By Famous Poet Ismail Merathi. Bazm-e-ijad Mein Be-parda Koi Saz Nahin is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Bazm-e-ijad Mein Be-parda Koi Saz Nahin for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Bazm-e-ijad Mein Be-parda Koi Saz Nahin in PDF.