Gar Nashe Mein Koi Be-fikr-o-tammul Bandhe

gar nashe mein koi be-fikr-o-tammul bandhe

chashm-e-mai-gun ko teri jam-e-pur-az-mul bandhe

zikr-e-qamat mein agar fikr taraqqi na kare

rashk-e-tuba to likhe go ba-tanazzul bandhe

taba ki silsila-jumban jo pareshani ho

gesu-e-ghaaliya sa ko tere sumbul bandhe

nala to wo hai ki ghabra ke uTha de parda

lek nazzare ki himmat bhi tahammul bandhe

kuchh na ban aaegi jab luT machaegi KHizan

ghuncha har chand girah kas ke zar-e-gul bandhe

ru-ba-ru us ke lab-e-arz-e-tamanna na hile

zor-e-afsun-e-nazar se gae bilkul bandhe

hain tere band-e-qaba uqda-e-dushwar mere

ki jo khole na khule aur jo gae khul bandhe

na bache par na bache sail-e-fana se na bache

gar koi kangura-e-charKH pe bhi pul bandhe

aankh khulne bhi na pai thi ki us ne fauran

band burqe ke ba-andaz-e-taghaful bandhe

hae wo said ki sayyaad ke pichhe lapke

sar ko fitrak pe har-dam ba-tafawul bandhe

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Nashe Mein Koi Be-fikr-o-tammul Bandhe In English By Famous Poet Ismail Merathi. Gar Nashe Mein Koi Be-fikr-o-tammul Bandhe is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Gar Nashe Mein Koi Be-fikr-o-tammul Bandhe for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Gar Nashe Mein Koi Be-fikr-o-tammul Bandhe in PDF.