Tulu-e-subh Hai Nazren UTha Ke Dekh Zara

tulu-e-subh hai nazren uTha ke dekh zara

shikast-e-zulmat-e-shab muskura ke dekh zara

gham-e-bahaar o gham-e-yar hi nahin sab kuchh

gham-e-jahan se bhi dil ko laga ke dekh zara

bahaar kaun si saughat le ke aai hai

hamare zaKHm-e-tamanna tu aa ke dekh zara

har ek samt se ek aaftab ubhrega

charagh-e-dair-o-haram to bujha ke dekh zara

wajud-e-ishq ki tariKH ka pata to chale

waraq ulaT ke tu arz o sama ke dekh zara

mile to tu hi mile aur kuchh qubul nahin

jahan mein hausle ahl-e-wafa ke dekh zara

teri nazar se hai rishta mere gireban ka

kidhar hai meri taraf muskura ke dekh zara

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tulu-e-subh Hai Nazren UTha Ke Dekh Zara In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Tulu-e-subh Hai Nazren UTha Ke Dekh Zara is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Tulu-e-subh Hai Nazren UTha Ke Dekh Zara for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Tulu-e-subh Hai Nazren UTha Ke Dekh Zara in PDF.