Anjam Ye Hua Hai Dil-e-be-qarar Ka

anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka

thamta nahin hai panw hamare ghubar ka

pahle kiya KHayal na gul ka na KHar ka

ab dukh raha hai panw nasim-e-bahaar ka

paiham diye wo ranj ki insan bana diya

minnat-pazir hun sitam-e-rozgar ka

us ko KHizan ke aane ka kya ranj kya qalaq

rote kaTa ho jis ko zamana bahaar ka

maKHfi hai is mein raaz-e-baqa-e-hayat-e-ishq

kya puchhte ho haal dil-e-be-qarar ka

majburiyan sitam hain wagarna KHuda ki shan

main aur yun guzar dun mausam bahaar ka

ghafil nigah-e-hosh se rang-e-chaman ko dekh

parwurda-e-KHizan hai zamana bahaar ka

nikla hai dam 'rawan' ka tamanna ke sath sath

allah-re zor nala-e-be-iKHteyar ka

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Anjam Ye Hua Hai Dil-e-be-qarar Ka In English By Famous Poet Jagat Mohan Lal Ravan. Anjam Ye Hua Hai Dil-e-be-qarar Ka is written by Jagat Mohan Lal Ravan. Read famous Poem Anjam Ye Hua Hai Dil-e-be-qarar Ka for youth and Student by Jagat Mohan Lal Ravan. Free Download Anjam Ye Hua Hai Dil-e-be-qarar Ka in PDF.