Gharaz Rahbar Se Kya Mujhko Gila Hai Jazb-e-kaamil Se

gharaz rahbar se kya mujh ko gila hai jazb-e-kaamil se

ki jitna baDh raha hun haT raha hun dur manzil se

sukut-e-be-mahal taqrir-e-be-mauqa ki tohmat kyun

uThana ho to yun hum ko uTha do apni mahfil se

ye arman-e-taraqqi aaj hai dawa KHudai ka

usi dil ka jo kal tak tha lahu ki bund mushkil se

gul-o-lala pe aaKHir kar raha hai ghaur kya gulchin

ye wo KHun hai jo Tapka tha kabhi chashm-e-anadil se

shab-e-mahtab dariya ka kinara aur ye sannaTa

tumhein is saz par hum KHush karenge naghma-e-dil se

ghazab hai jal ke parwanon ka un ki bazm mein kahna

'rawan' ya yun fida ho jao ya uTh jao mahfil se

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gharaz Rahbar Se Kya Mujhko Gila Hai Jazb-e-kaamil Se In English By Famous Poet Jagat Mohan Lal Ravan. Gharaz Rahbar Se Kya Mujhko Gila Hai Jazb-e-kaamil Se is written by Jagat Mohan Lal Ravan. Read famous Poem Gharaz Rahbar Se Kya Mujhko Gila Hai Jazb-e-kaamil Se for youth and Student by Jagat Mohan Lal Ravan. Free Download Gharaz Rahbar Se Kya Mujhko Gila Hai Jazb-e-kaamil Se in PDF.