Dil-e-muztar Teri Furqat Mein Bahlaya Nahin Jata

dil-e-muztar teri furqat mein bahlaya nahin jata

kisi pahlu se ye nadan samjhaya nahin jata

namak-pashi mere zaKHmon pe ye kah kah ke karte hain

zara si baat mein yun ashk bhar laya nahin jata

Daraata kyun hai ai naseh mohabbat ki kashakash se

phansa kar dil ko is kuche se katraya nahin jata

meri zulfen haTa kar ruKH se wo kahte hain hans hans kar

andheri raat hai aise mein sharmaya nahin jata

gham-o-alam ne is darja hum ko kar diya ghayal

KHud apni dastan ko hum se dohraya nahin jata

baDi is bekasi ki manzilen pur-haul hoti hain

kisi se jab koi 'tasnim' apnaya nahin jata

(628) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-muztar Teri Furqat Mein Bahlaya Nahin Jata In English By Famous Poet Jameela Khatoon Tasneem. Dil-e-muztar Teri Furqat Mein Bahlaya Nahin Jata is written by Jameela Khatoon Tasneem. Read famous Poem Dil-e-muztar Teri Furqat Mein Bahlaya Nahin Jata for youth and Student by Jameela Khatoon Tasneem. Free Download Dil-e-muztar Teri Furqat Mein Bahlaya Nahin Jata in PDF.