Zindagi Ko Ek Bahr-e-be-karan Pati Hun Main

zindagi ko ek bahr-e-be-karan pati hun main

un ke hathon miT ke umr-e-jawedan pati hun main

KHud-baKHud dil ho gaya donon jahan se be-niyaz

ab zamin-e-ishq goya aasman pati hun main

chhuT-phuTe se dil bujha rahta hai teri yaad mein

chandni raaton mein ashkon ko rawan pati hun main

saikDon sajde taDapte hain jabin-e-shauq mein

ai haqiqat tera naqsh-e-pa kahan pati hun main

ab bhi aansu bah nikalte hain kisi ki yaad mein

andalib-e-zar ko jab nauha-KHwan pati hun main

apna ai 'tasnim' is duniya se ghabraata hai dil

yan ki har shai ko faqat wahm-o-guman pati hun main

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Ko Ek Bahr-e-be-karan Pati Hun Main In English By Famous Poet Jameela Khatoon Tasneem. Zindagi Ko Ek Bahr-e-be-karan Pati Hun Main is written by Jameela Khatoon Tasneem. Read famous Poem Zindagi Ko Ek Bahr-e-be-karan Pati Hun Main for youth and Student by Jameela Khatoon Tasneem. Free Download Zindagi Ko Ek Bahr-e-be-karan Pati Hun Main in PDF.