Kaam Mujhse Koi Hua Hi Nahin

kaam mujh se koi hua hi nahin

baat ye hai ki main to tha hi nahin

mujh se bichhDi jo mauj-e-nikhat-e-yar

phir main us shahr mein raha hi nahin

kis tarah tark-e-muddaa kije

jab koi apna muddaa hi nahin

kaun hun main jo raegan hi gaya

kaun tha jo kabhi mila hi nahin

hun ajab aish-e-gham ki haalat mein

ab kisi se koi gila hi nahin

baat hai raste pe jaane ki

aur jaane ka rasta hi nahin

hai KHuda hi pe munhasir har baat

aur aafat ye hai KHuda hi nahin

dil ki duniya kuchh aur hi hoti

kya kahen apna bas chala hi nahin

ab to mushkil hai zindagi dil ki

yani ab koi majra hi nahin

har taraf ek hashr barpa hai

'jaun' KHud se nikal ke ja hi nahin

mauj aati thi Thaharne ki jahan

ab wahan KHema-e-saba hi nahin

(2971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Mujhse Koi Hua Hi Nahin In English By Famous Poet Jaun Eliya. Kaam Mujhse Koi Hua Hi Nahin is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Kaam Mujhse Koi Hua Hi Nahin for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Kaam Mujhse Koi Hua Hi Nahin in PDF.