Kab Us Ka Visal Chahiye Tha

kab us ka visal chahiye tha

bas ek KHayal chahiye tha

kab dil ko jawab se gharaz thi

honTon ko sawal chahiye tha

shauq ek nafas tha aur wafa ko

pa-e-mah-o-sal chahiye tha

ek chehra-e-sada tha jo hum ko

be-misl-o-misal chahiye tha

ek karb mein zat-o-zindagi hain

mumkin ko muhaal chahiye tha

main kya hun bas ek malal-e-mazi

is shaKHs ko haal chahiye tha

hum tum jo bichhaD gae hain hum ko

kuchh din to malal chahiye tha

wo jism jamal tha sarapa

aur mujh ko jamal chahiye tha

wo shoKH ramida mujh ko apni

banhon mein niDhaal chahiye tha

tha wo jo kamal-e-shauq-e-waslat

KHwahish ko zawal chahiye tha

jo lamha-ba-lamha mil raha hai

wo sal-ba-sal chahiye tha

(2871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Us Ka Visal Chahiye Tha In English By Famous Poet Jaun Eliya. Kab Us Ka Visal Chahiye Tha is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Kab Us Ka Visal Chahiye Tha for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Kab Us Ka Visal Chahiye Tha in PDF.