Kya Yaqin Aur Kya Guman Chup Rah

kya yaqin aur kya guman chup rah

sham ka waqt hai miyan chup rah

ho gaya qissa-e-wajud tamam

hai ab aaghaz-e-dastan chup rah

main to pahle hi ja chuka hun kahin

tu bhi jaanan nahin yahan chup rah

tu ab aaya hai haal mein apne

jab zamin hai na aasman chup rah

tu jahan tha jahan jahan tha kabhi

tu bhi ab to nahin wahan chup rah

zikr chheDa KHuda ka phir tu ne

yan hai insan bhi raegan chup rah

sara sauda nikal de sar se

ab nahin koi aastan chup rah

ahrman ho KHuda ho ya aadam

ho chuka sab ka imtihan chup rah

darmiyani hi ab sabhi kuchh hai

tu nahin apne darmiyan chup rah

ab koi baat teri baat nahin

nahin teri teri zaban chup rah

hai yahan zikr-e-haal-e-maujudan

tu hai ab az-guzishtagan chup rah

hijr ki jaan-kani tamam hui

dil hua 'jaun' be-aman chup rah

(2473) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Yaqin Aur Kya Guman Chup Rah In English By Famous Poet Jaun Eliya. Kya Yaqin Aur Kya Guman Chup Rah is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Kya Yaqin Aur Kya Guman Chup Rah for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Kya Yaqin Aur Kya Guman Chup Rah in PDF.