Nala-e-mauzun Se Misra Aah Ka Chaspan Hua

nala-e-mauzun se misra aah ka chaspan hua

zor ye pur-dard apna matla-e-diwan hua

jis ne dekha aa ke ye aaina-KHana dahr ka

fil-haqiqat bas wo apna aap hi hairan hua

sab pe zahir ho gai betabi-e-dil shakl-e-barq

wo bhabhuka apni nazron se jo Tuk pinhan hua

us ke jaane se ye dil mein aae hai rah rah ke hae

sab jahan basta hai ek apna hi ghar viran hua

kash dil se chashm tak aane na pata tifl-e-ashk

rafta rafta ab to ye laDka koi tufan hua

gar hue wa us ke lab to dekhiye kya gul khile

ho KHafa jab be-tarah wo raunaq-e-bustan hua

aae jo marqad pe mere so mukaddar ho gae

KHak ho kar bhi ghubar-e-KHatir-e-yaran hua

roz-o-shab rahne lage is ghar mein ye kafir sanam

kaba-e-dil saf apna ab to kufristan hua

josh-e-wahshat dekhiyo koi ki har ek KHar ke

dhajjiyan ho kar gale ka haar ye daman hua

ashk-e-rangin ne jo apne kar diya yan farsh-e-gul

rashk-e-sad-gulshan hamein ye gosha-e-zindan hua

bandh gaya tera tasawwur jis ki aankhon ke huzur

us ko bas aalam visal-o-hijr ka yaksan hua

yak-ba-yak tu ne ye kaisa rang badla ai falak

teri gardish se kahin kya saKHt ji halkan hua

kal talak jo ghar ghar apna tha so us ke dar pe aaj

nila pila dekh kar kya kya hamein darban hua

garche har qalib mein 'jurat' suraten Dhalti rahin

par bana jo dard ka putla wo hi insan hua

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nala-e-mauzun Se Misra Aah Ka Chaspan Hua In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Nala-e-mauzun Se Misra Aah Ka Chaspan Hua is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Nala-e-mauzun Se Misra Aah Ka Chaspan Hua for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Nala-e-mauzun Se Misra Aah Ka Chaspan Hua in PDF.