Sharab-KHana Tera Aisa IntiKHab Nahin Hai

sharab-KHana tera aisa intiKHab nahin hai

KHawas pite hain sab ke liye sharab nahin hai

shikar zulm ka jo hain unhin pe hai har shiddat

wo jo hain zalim un par koi itab nahin hai

ye tera farz hai saqi mile sabhi ko barabar

hai tera mansab saqi koi KHitab nahin hai

yahan to koi nahin aadmi sabhi hain farishte

mere alawa yahan par koi bhi KHarab nahin hai

farogh-e-kaifiyat-e-baada se hua hai ye shadab

na paDh ye chehra mera ye koi kitab nahin hai

sarab wahima nazron ke samne maujud

dhaDak raha hai jo idrak mein sarab nahin hai

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharab-KHana Tera Aisa IntiKHab Nahin Hai In English By Famous Poet Kamal Ahmad Siddiqi. Sharab-KHana Tera Aisa IntiKHab Nahin Hai is written by Kamal Ahmad Siddiqi. Read famous Poem Sharab-KHana Tera Aisa IntiKHab Nahin Hai for youth and Student by Kamal Ahmad Siddiqi. Free Download Sharab-KHana Tera Aisa IntiKHab Nahin Hai in PDF.