Kyun Chand Ko Samjhe Koi Paigham Kisi Ka

kyun chand ko samjhe koi paigham kisi ka

sahra ki kaDi dhup bhi hai nam kisi ka

TuTi hui ek qabr ke katbe pe likha tha

ye chain kisi ka hai ye aaram kisi ka

KHwabon ke dariche mein ho jaise koi chehra

yun dard nikharta hai sar-e-sham kisi ka

ghazlon pe bhi hota hai kisi shakl ka dhoka

taron ko bhi deta hun kabhi nam kisi ka

tariKH ke phaile hue safhat pe jaise

zaKHmon ki numaish hai faqat kaam kisi ka

hathon ki lakiren hain ye viran si rahen

sukhe hue patte hain ye anjam kisi ka

'jami' jo utar jae andheron ke badan mein

wo shoala-e-taKHliq hai inam kisi ka

(356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Chand Ko Samjhe Koi Paigham Kisi Ka In English By Famous Poet Khurshid Ahmad Jami. Kyun Chand Ko Samjhe Koi Paigham Kisi Ka is written by Khurshid Ahmad Jami. Read famous Poem Kyun Chand Ko Samjhe Koi Paigham Kisi Ka for youth and Student by Khurshid Ahmad Jami. Free Download Kyun Chand Ko Samjhe Koi Paigham Kisi Ka in PDF.