Hamari Is Wafa Par Bhi Dagha Ki

hamari is wafa par bhi dagha ki

qasam khai thi o kafir KHuda ki

wo musht-e-ustuKHwan hun ai sag-e-yar

agar khae saadat hai huma ki

lab-e-shirin ka jo bosa liya tha

meri us ki shakar-ranji raha ki

wafa se main ne bhi ab hath uThaya

qasam hai mujh ko apne bewafa ki

hui gar sulh bhi to bhi rahe jang

mila jab dil to aankh us se laDa ki

faqiron ke qadam lete hain sultan

ye hai tasir naqsh-e-boriya ki

tasawwur bandh gaya jab us mizha ka

to pahron dil pe barchhi si laga ki

KHuda yun jis ko chahe de saadat

wagarna sag mein KHaslat hai huma ki

nahin uThta hai sar sajde se mera

magar hai sajda-gah us KHak-e-pa ki

kahun jab main ki be tere hun marta

to kahta hai wo but marzi KHuda ki

na aaya minnaton se yar jis dam

to phir kya kya ajal ke iltija ki

(330) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Is Wafa Par Bhi Dagha Ki In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Hamari Is Wafa Par Bhi Dagha Ki is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Hamari Is Wafa Par Bhi Dagha Ki for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Hamari Is Wafa Par Bhi Dagha Ki in PDF.