Har Uzw Musafir Hai Nahin Kuchh Safari Aankh
har uzw musafir hai nahin kuchh safari aankh
hai aaKHir-e-shab umr charagh-e-sahari aankh
kya karti hai dilkash suKHan ai rashk-e-pari aankh
lo sikh gai tarz-e-kalam-e-bashri aankh
un aankhon mein sanea ne bhare kuT ke moti
qismat ye hamari hai ki ashkon se bhari aankh
baaten jo karo naz se tum munh ko chhupa kar
sunne ke liye kan ho ai rashk-e-pari aankh
aaya hai mere dil ka ghubar aansuon ke sath
lo ab to hui malik-e-KHushki-o-tari aankh
ab tak wahi rona hai wahi hasrat-e-didar
hum mar gae is par bhi ye kafir na mari aankh
tayyar kiya KHama-e-mu apne mizha se
khinchenge magar naqsha-e-nazuk kamri aankh
nargis pe nazar kije dobara ki wo kaT jae
ho jae nazar-e-sani mein is ki nazari aankh
sohbat ka asar sahab-e-binish ko ho kyunkar
ainak ho agar sabz na ho jae hari aankh
baaton ko zaban misl-e-suKHan munh se nikal jae
nazzare ko ho pa-e-nigah se safari aankh
tir-e-mizha-e-yar ko mizhgan hi samajhte
kis aankh se laDte hi sada balbe jari aankh
raftar to dikhla ke za-KHud rafta bana do
nargis ki tarah hai hama-tan kabk-e-dari aankh
daman ki tarah chaak hue aankh ke parde
o dast-e-junun se ki gai jama-dari aankh
jo ahl-e-nazar mein kabhi KHud-bin nahin hoti
dekho ki hai is aib-e-numayan se bari aankh
kya qahr siwa aayat-e-abru hui nazil
Dar hai na kare dawa-e-paighambari aankh
kashti wo liye nuh ki manind chale aaen
tufan bapa kar shab-e-furqat mein ari aankh
rahte hain 'wazir' ashk ki ja TukDe jigar ke
in rozon hui kan-e-aqiq-e-jigri aankh
(382) Peoples Rate This