Dam-bhar Jo Na Dekhe Tujhe Ai Rashk-e-pari Aankh

dam-bhar jo na dekhe tujhe ai rashk-e-pari aankh

mizhgan ki zabanon se kare nauhagari aankh

jam jae tasawwur jo tere buTe se qad ka

pathra ke bane saf aqiq-e-shajari aankh

le lijiye shishe hain safed ashk nahin hain

nam baada-kashi se ki gai shisha-gari aankh

jao jo chaman ko to kare farsh-e-rah-e-naz

bulbul jigar-o-faKHta dil kabk-e-dari aankh

dekha jise bismil kiya taka jise mara

us aankh se Dariye jo KHuda se na Dari aankh

jumbish udhar us ko hai to gardish idhar is ko

abru hai ki shamshir sipar hai ki phiri aankh

kya did ke qabil tere kuche ki zamin hai

har gam hai naqsh-e-qadam-e-rah-guzri aankh

tum jhank rahe ho ye tumhein tak raha hai

kyun dida-e-rauzan pe aji tum ne dhari aankh

kahti hi teri naf-o-shikam dekh ke bulbul

ruKHsar-e-gul-e-tar pe hai nargis ki dhari aankh

ai mah ye sab chashm-e-falak ke hain ishaare

aise to na thi mail-e-be-dad-gari aankh

nargis jo gulistan mein hai to dasht mein aahu

har rang mein dikhlane lagi jalwagari aankh

gad ka kahin wo surma ka dumbaala uThae

hai dast-e-mizha mein liye putli ki phiri aankh

dekhe wo agar chashm-e-siyah aur ye KHat-e-sabz

nargis ki siyah aankh ho tuti ki hari aankh

(355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dam-bhar Jo Na Dekhe Tujhe Ai Rashk-e-pari Aankh In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Dam-bhar Jo Na Dekhe Tujhe Ai Rashk-e-pari Aankh is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Dam-bhar Jo Na Dekhe Tujhe Ai Rashk-e-pari Aankh for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Dam-bhar Jo Na Dekhe Tujhe Ai Rashk-e-pari Aankh in PDF.