Nahin KaTta Hai Ye Maidan-e-bala

nahin kaTta hai ye maidan-e-bala

wadi-e-KHizr bayaban-e-bala

mustaid zulf meri ranj pe hai

hai muhayya sar-o-saman-e-bala

mar gaya gesu-e-pur-pech mein dil

chhuT gaya qaidi-e-zindan-e-bala

haar phulon ki hain choTi mein ayan

kya hi phula hai gulistan-e-bala

bole bikhra ke wo zulfen apni

hum hue silsila-jumban-e-bala

unchi choTi hai ghazab ai yam-e-husn

kya hi uTTha hai ye tufan-e-bala

kan ki lau teri zulfon mein nahin

hai charagh-e-tah-e-daman-e-bala

garmi-e-ruKH se araq-rez hai zulf

hai guhar-bar ye naisan-e-bala

dil mere sine mein hai mahw-e-mizha

hai yahi sher-e-niyastan-e-bala

(374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin KaTta Hai Ye Maidan-e-bala In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Nahin KaTta Hai Ye Maidan-e-bala is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Nahin KaTta Hai Ye Maidan-e-bala for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Nahin KaTta Hai Ye Maidan-e-bala in PDF.