KHuda-numa Hai But-e-sang-e-astana-e-ishq

KHuda-numa hai but-e-sang-e-astana-e-ishq

chalunga pa-e-nigah ban ke su-e-KHana-e-ishq

na kam hon sikka-e-dagh-e-dil-e-yagana-e-ishq

bhara paDa rahe yarab sada KHazana-e-ishq

jabin-e-qais bani sang-e-astana-e-ishq

junun hai KHema-e-laila siyah-KHana-e-ishq

mudam dil mein rahe dagh-e-ulfat-e-saqi

na be-charagh ho yarab sharab-KHana-e-ishq

ye mahfil-e-tarab-e-husn hai nahin maqtal

sada gulu-e-burida ki hai tarana-e-ishq

ye kah ke phirti hai din raat aasiya-e-falak

mile to KHirman-e-mah de ke lun main dana-e-ishq

hai aaftab piyala farishta-KHu saqi

KHam-e-falak hai subu-e-sharab-KHana-e-ishq

bas ek hath mein do ho ke main zamin pe gira

qaza jo aai ada ho gaya dogana-e-ishq

har ek gam pe dil pista hai ablaq-e-chashm

magar hai surme ka dumbaala taziyana-e-ishq

jalaya tur ko ek dam mein saiqa ban kar

sharar-fishan jo hua sang-e-astana-e-ishq

ho KHana-e-sadaf-e-dil na kis tarah pur-nur

ki aap hai guhar-e-shab-charagh dana-e-ishq

buto KHuda ne kaha fis-sama-e-rizqokum aap

mila hai mujh ko ye haft aasiya se dana-e-ishq

ye sach masal hai buto sab ka hai KHuda razzaq

nasib-e-tair-e-dil hai azal se dana-e-ishq

jo KHal ban ke KHat-e-ruKH mein dil rahe mera

kahun main KHirman-e-mah mein mila ye dana-e-ishq

kisi ke abru-e-pur-KHam ka dhyan rahta hai

hamara kaba-e-dil hai siyah-KHana-e-ishq

sada-e-matam-e-dil sun ke KHush wo hote hain

nawa-e-sina-zani hai ki shadiyana-e-ishq

jo shauq-e-did hai musa ki tarah ek na sun

ki lantarani-e-ishq hai tarana-e-ishq

naqab udhar wo uThaen idhar main aah karun

samand-e-husn pe paD jae taziyana-e-ishq

jo toliye ise kaunain ki taraazu mein

garan ho wazn mein na aasiya se dana-e-ishq

farogh-e-bazm-e-tasawwur hai yaad pistan ki

habab-e-husn bane hain charagh-e-KHana-e-ishq

KHayal-e-gauhar-e-dandan mein hum jo rote hain

sarishk-e-dida-e-tar hai dur-e-yagana-e-ishq

hai mere dil ki tarah is se ye pareshan-haal

mila hai zulf ko husn-e-siyah-KHana-e-ishq

chaDha jo dar pe aashiq ka sar hua sardar

juda hai KHana-e-alam se karKHana-e-ishq

KHuda ka ghar ho jo TuTe jihad-e-nafs se dil

KHarab ho to bane la-makan ye KHana-e-ishq

wo dil laga ke sunen dastan ki surat

bayan kijiye us husn se fasana-e-ishq

'wazir' tuKHm-e-mohabbat ko dil mein bo apne

zamin wo shor hai jis mein uge na dana-e-ishq

(582) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda-numa Hai But-e-sang-e-astana-e-ishq In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. KHuda-numa Hai But-e-sang-e-astana-e-ishq is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem KHuda-numa Hai But-e-sang-e-astana-e-ishq for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download KHuda-numa Hai But-e-sang-e-astana-e-ishq in PDF.