Jo KHas Bande Hain Wo Banda-e-awam Nahin

jo KHas bande hain wo banda-e-awam nahin

hazar bar jo yusuf bike ghulam nahin

bhala ho kya dil zahid mein soz-e-ulfat-e-haq

kabhi jalane ke qabil charagh-e-KHam nahin

gila hai chashm-e-suKHan-go se KHamushi ka hamein

dahan ke hone na hone mein kuchh kalam nahin

tu aaftab hai zulf-e-siyah nahin to na ho

charagh-e-roz ko kuchh ehtiyaj-e-sham nahin

aziz aashiq-e-gumnam ka hai dil us ko

nagin wo hath mein rakhta hai jis mein nam nahin

bas ek hath mein do ho ke paDh dogana-e-ishq

jo be-namaz hai wo qabil-e-salam nahin

ye sar jhukana ye munh pherna hai mane did

meri namaz mein sajda nahin salam nahin

wo mujh pe marne lagi jo hai mere darpai-e-qatl

ilahi is ke siwa aur intiqam nahin

firaq-e-yar mein dast-e-subu uDate hain KHak

ye gard-baad hai gardish mein apna jam nahin

na hans rulaega tujh ko KHumar-e-baada-e-aish

mai-nashat to is bazm mein mudam nahin

phanse na qaid-e-talluq mein jo ki hai aazad

chaman mein tair-e-nikhat asir-e-dam nahin

wo dil ho chaak nahin ishq ka nishan jis mein

nagin wo TuTe mohabbat ka jis mein nam nahin

rahega hijr ka din kab kaTe agar shab-e-wasl

mudam roz-e-qayamat ko bhi qayam nahin

bane jo baal ka phanda tumhaari tegh ka baal

to murgh-e-jaan ke liye behtar is se dam nahin

mai-do-atisha-e-kufr-o-din se KHalq hai mast

magar sharab ye ham-mashrabo haram nahin

pukara apna gada kah ke mujh ko ai shah-e-husn

faqir hun tere dar ka 'wazir' nam nahin

(443) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo KHas Bande Hain Wo Banda-e-awam Nahin In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Jo KHas Bande Hain Wo Banda-e-awam Nahin is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Jo KHas Bande Hain Wo Banda-e-awam Nahin for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Jo KHas Bande Hain Wo Banda-e-awam Nahin in PDF.