Gauhar-e-ashk Se Labrez Hai Sara Daman

gauhar-e-ashk se labrez hai sara daman

aaj-kal daman-e-daulat hai hamara daman

ai junun baad-e-bahaari se nahin jumbish mein

kuchh gareban se karta hai ishaara daman

wasl ki raat hai bigDo na barabar to rahe

phaT gaya mera gareban tumhaara daman

jama-chin ne nahin ye phul chune nargis ke

saikDon aankhon se karta hai nazara daman

bahut ai dast-e-junun tang-nazar aata hai

bandh de daman-e-sahra se hamara daman

KHub pahuncha diya ai dast-e-junun hathon-hath

mil gaya aaj gareban se sara daman

aamad aamad mere ashkon ki magar sun li hai

jhaD kar gard jo sahra ne sanwara daman

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gauhar-e-ashk Se Labrez Hai Sara Daman In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Gauhar-e-ashk Se Labrez Hai Sara Daman is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Gauhar-e-ashk Se Labrez Hai Sara Daman for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Gauhar-e-ashk Se Labrez Hai Sara Daman in PDF.