Teri Taraf Se Dil Ai Jaan-e-jaan UTha Na Sake
teri taraf se dil ai jaan-e-jaan uTha na sake
bahut zaif the bar-e-garan uTha na sake
hazar bar bahaar aai lekin ai sayyaad
nigah hum taraf-e-bostan uTha na sake
asir-e-zulf jo marte hain to wo kahte hain
zara bhi sadma-e-qaid-e-giran uTha na sake
sunin jo yar ki baaten ghash aa gaya hum ko
ye na-tawan the ki lutf-e-bayan uTha na sake
(388) Peoples Rate This