Tere RuKH Ka Kise Sauda Nahin Hai
tere ruKH ka kise sauda nahin hai
gul-e-lala talak sahra-nashin hai
phira hai aap wo mah-ru hamara
tera ai aasman shikwa nahin hai
kahin aisa na ho uTThe na talwar
yahi Dar hai ki qatil naznin hai
na puchho mere aansu tum na puchho
kahega koi tum ko KHosha-chin hai
adab se pa-barahna phirte hain hum
junun farsh-e-ilahi ye zamin hai
bura sab dushmanon ka chahte hain
main KHush hun jaise dil andoh-gin hai
rahe mazmun-e-gham ki tarah is mein
hamara ghar hai ya bait-e-hazin hai
jahan hai jalwa-gar wo ghairat-e-mah
ilahi aasman hai ya zamin hai
banaya tujh ko aisa KHubsurat
ki nazan tujh pe surat-afrin hai
hain ishq-e-zulf mein aaza bhi dushman
hamara hath mar-e-astin hai
na nikla be tere main ghar se bahar
nigah tak chashm mein KHalwat-nashin hai
falak jo chahe hum par zulm kar le
abhi to zabt-e-ah-e-atishin hai
paDa hai tafraqa be-tabiyon se
'wazir' ab main kahin hun dil kahin hai
(405) Peoples Rate This