Tegh-e-uryan Pe Tumhaari Jo PaDi Meri Aankh

tegh-e-uryan pe tumhaari jo paDi meri aankh

chashm-e-jauhar se aji KHub laDi meri aankh

na haTi peT par us ke jo paDi meri aankh

ban gai naf-e-shikam aise aDi meri aankh

ashk-e-gul rang piroti hai mizha mein kya KHub

kya banati hai ye phulon ki chhaDi meri aankh

tum rahe baam pe yan lag gain aankhen chhat se

raat ginti rahi har ek kaDi meri aankh

is KHajalat ne abad tak mujhe sone na diya

hijr mein lag gai thi ek ghaDi meri aankh

dur-e-dandan ki bhala aaina kya jaane qadr

is ko dikhlao mubassir hai baDi meri aankh

KHat-e-ruKHsar nahin pa-e-nigah ke hain nishan

aariz-e-saf pe sau bar paDi meri aankh

yaad aae jo tere tegh ka mala qatil

roke paida kare moti ki laDi meri aankh

raKHna diwar mein meamar banana kya tha

tu ne rauzan ke ewaz kyun na jaDi meri aankh

zindagi mein to kiya mardum-e-abi mujh ko

dekhun ab kya ho mere sath gaDi meri aankh

zulf ki tarah se zanjir hui jati hai narm

paDti hai josh-e-junun mein ye kaDi meri aankh

kya usi ne ye kiya matla-e-abru mauzun

tum jo kahte ho suKHan-goi baDi meri aankh

chashm mein surme ka dumbaala bana kar bole

kyun asa Tek ke ho jae khaDi meri aankh

naKHl-e-nargis nahin turbat pe nazare ke liye

aaine dekhti hai rah khaDi meri aankh

nazar aaegi zamin kashti-e-dariya-e-fana

dekh lena jo mere sath gaDi meri aankh

baghban nahr nahin yaad mein ek kuche ki

ro rahi hai ye gulistan mein paDi meri aankh

karte hi ek nigah mein lab-e-nazuk ko kabud

kya bana deti hai missi ki dhaDi meri aankh

aae tera jo tasawwur bhi to bahr-e-tazim

kya ajab pa-e-nigah se ho khaDi meri aankh

dil par-e-dagh hua dafn to lala nikla

ugi nargis jo gulistan mein gaDi meri aankh

yaad aate hain mujhe hazrat-e-'nasiKH' jo 'wazir'

kya laga deti hai ashkon ki jhaDi meri aankh

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tegh-e-uryan Pe Tumhaari Jo PaDi Meri Aankh In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Tegh-e-uryan Pe Tumhaari Jo PaDi Meri Aankh is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Tegh-e-uryan Pe Tumhaari Jo PaDi Meri Aankh for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Tegh-e-uryan Pe Tumhaari Jo PaDi Meri Aankh in PDF.