Baat Ka Apni Na Jab Paya Jawab

baat ka apni na jab paya jawab

hum ye samjhe wo dahan hai la-jawab

baaten sunwain lab-e-KHamosh ne

warna hum dete use kya kya jawab

be-nishan hai wo kamar shakl-e-dahan

kaun si shai hai nahin jis ka jawab

sada kaghaz bheja name ke ewaz

wan se aaya bhi to saf aaya jawab

puchhta gar us kamar ka main nishan

ghaib se milta mujhe is ka jawab

tum jo kuchh kahte zaban-e-tegh se

main dahan-e-zaKHm se deta jawab

aaj mujh se baat agar karte nahin

denge ye but kal KHuda ko kya jawab

be-dahan wo hai to main hun be-zaban

yar ki surat hun main bhi la-jawab

kah ke ek misra mah-e-nau rah gaya

ho saka kab bait-e-abru ka jawab

baat sidhi ki jo tha mazkur-e-qad

zikr-e-abru mein diya TeDha jawab

kijiye kya baat us kaj-taba se

dega charKH-e-wazhgun ulTa jawab

baaten karta hai jo parda chhoD kar

mujh ko deta hai wo dar-parda jawab

aa gaya ai wae paigham-e-ajal

par na qasid le ke kuchh aaya jawab

sun ke baiten mere hasid chup rahe

ai 'wazir' apna suKHan hai la-jawab

(376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Ka Apni Na Jab Paya Jawab In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Baat Ka Apni Na Jab Paya Jawab is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Baat Ka Apni Na Jab Paya Jawab for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Baat Ka Apni Na Jab Paya Jawab in PDF.