Dushman Bhi Apne Dost Se Yarab Juda Na Ho

dushman bhi apne dost se yarab juda na ho

na aashna ko bhi alam-e-ashna na ho

sad-chaak ho wo dil ki jo dard-ashna na ho

phuTe wo aankh jis se ki aansu gira na ho

wo said hun ki par bhi hon aur uD saka na ho

yarab mujhe kahin par-e-mahi mila na ho

baad-az-fana zamin se na uTha mera ghubar

aisa koi kisi ki nazar se gira na ho

karti hai ab talak jo lagawaT tumhaari tegh

tasma koi gale mein laga rah gaya na ho

mar kar bhi us gali mein na hum pahunchen ya nasib

KHak apni jab uDe to udhar ki hawa na ho

be-yar zauq kab hai sharab-o-kabab se

parwa nahin hai ab mujhe saqi ho ya na ho

KHun-e-jigar piya na ho jis ne wo mai piye

khae wahi kabab ki jo dil-jala na ho

hum KHak mein mile to mile gham magar ye hai

dil mein tere ghubar kahin aa gaya na ho

ruswai ka bhi chahiye wahshat mein kuchh KHayal

daman jo chaak ho to gareban phaTa na ho

be-jurm-o-be-gunah na aashiq ko qatl kar

kaba teri gali hi kahin karbala na ho

khinchi thi tegh par na nazakat se khinch saki

qatil ka kya qusur jo meri qaza na ho

marham jo sabz tum ne lagaya to faeda

be-ab-e-tegh zaKHm hamara hara na ho

bang-e-dara to hoti nahin aisi dil-KHarash

hamrah-e-qafila dil-e-nalan mera na ho

jo ho saken wo mujh se karo be-wafaiyan

ta phir kisi ko tum se ummid-e-wafa na ho

juz kahruba uThai kisi ne na meri lash

kahida is qadar koi yarab hua na ho

hasrat se kyun taDapte hain sayyaad asir-e-dam

hathon mein tere tair-e-rang-e-hina na ho

kha kha ke pan pik jo phenki mazar par

us ke shahid-e-lab ka yahi KHun-baha na ho

is darja kyun hai charKH-e-jafa-ju ko iztirab

dil ko mere qarar kahin aa gaya na ho

KHamosh apne dar pe mujhe dekh kar wo shoKH

kahta hai ye faqir kahin be-nawa na ho

hai darmiyan mein tafraqa-parwaz-guftugu

KHamosh ho to lab se kabhi lab juda na ho

bahr-e-jawab KHat mein jagah chhoD di thi kuchh

qasid ne us pe KHatt-e-ghulami likha na ho

phir ruh ko hai jism mein aane ka ishtiyaq

us ne mere janaze ko kandha diya na ho

bechain ho na jaen sab aasudgan-e-KHak

wo chaal chal ki jis se qayamat bapa na ho

tu mujh siyah-baKHt ki jaanib nigah kar

dekhun to kyunkar aankh teri surma-sa na ho

tarik ho gaya hai nazar mein jahan 'wazir'

aankhon mein us ki ghair ne surma diya na ho

(411) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dushman Bhi Apne Dost Se Yarab Juda Na Ho In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Dushman Bhi Apne Dost Se Yarab Juda Na Ho is written by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Read famous Poem Dushman Bhi Apne Dost Se Yarab Juda Na Ho for youth and Student by Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi. Free Download Dushman Bhi Apne Dost Se Yarab Juda Na Ho in PDF.